Uska aur mera sath kuchh is liye bhi chhuta

Uska aur mera sath kuchh is liye bhi chhuta...
Khuchh hamara bhi to dil, kuchh unka bhi toota...
Wo gaadi banglo or Arbo ki ekloti varis thi....
Yaha to kamre ke makan ke loan ke liye 
roz hoti bank me guzarish thi...
Usne kapdo ke alag alag brand
se ghar ko showroom banawaya tha...
Yaha do jeans thi, 
jisme se ek to usi ne tohfa me dilaya tha....
Uski mahfil lagti bade bade mahlo me...
Yaha dhabe pe baithne ke liye chanda ikatha karte the...
wo ek raat me hazaro uda ke parvah nahi karti...
yaha 100 ka note kharachne me bhi hum darte the...
uske naukro ke paas bhi gadiya thi...
yaha hum paidal hi pure shehar ka muaina karte the...
kaha kabhi nahi usne ke tum gareeb ho...
magar kisi ke samne apna kahne me use sharm aati thi...
sari galti kismat ki kese nikal de...
kuchh sath hamara amiri garibi ne bhi toda tha....
chahe jitna me use pyar karu dost...
magar sach ye hai ke uss ne meri garibi ko dekh kar hi mujhe chhoda tha...
magar wo pachhtayegi uss din
jab meri kabliyat ka usse ehsas hoga...
meri daulat ke share mere pas to bahut honge
magar uska saya bhi na uske pas hoga...
thoda sa kar sabar bas kismat ka fer hai...
rab ke ghar der to hai magar nahi andher hai... ! !

Share :

Facebook Twitter Google+
Back To Top

counter

fb main

Powered by Blogger.